रविवार, 20 नवंबर 2011

Jra Sbhlna

yaad ata hai dard ka ek ek lamha,
koi muskraie tu ashk ankh se utar ata hai,

waqt-e-judaie uski ankh bhi purnum thi,
saat pardon may jazbaat chupana usay ata hai,

Mein pather ki moorat bani bethi rahi sadaa,
moom ke manind ko pighlana usay ata hai,

pehelay taamer may raha wo meri lamha lamha,
phir muskara kar mitana bhi usay ata hai,

nighaoon se hum kai baar sawal karte per,
khud se jawab sooch leena khoob usay ata hai,

palkoon pe betha kar pojte rehna,
nazroon se giraana bhi usay ata hai,

Hum samjhe the jeet gaye pyar uska,
pr maat dena khoob usay ata hai,

baat karna to sambhal kar karna,
dil tornay ka har tareeqa usay ata ha,,,,,